Sunday, June 24, 2007

Thoughts of Israr Ahmed on event of Karbala


Link of that book is:
Page 3. Para2, line 10:
Yahan per mosof sabit ker raha hen ka rasool maaz Allah yahodion ke pairve men 10th muharram ka roza rakh rahay heen, jo ka khoshi ka izhar men hay. jaisa ka yahodi kerta thay. bus 10th Muharram khoshi ka din sabit hota hay un ka mutabiq.
Page 21 Para.2 :
yahan per mosof kehna chah raha hen ka karbala men imam Hussain nay haZrat muslim ka inteqam lia hay ... aor es lia datay raha, na ka Islam ke khatir,
Page-19 Line 11:
Mososf yeh keh saktay heen ka Hazrat Hussain nay Assesment men galiti ke.... same wohi baat jo tahir ul islam nay kahi. Israr sahab aap ko daikh ker g chahta hay ka galib ka sher perhonHota hay yahan rooz tamasha mayra agay
Page-6 Line 4:
Mosof Muharram ka ashray men shadian kernay per zor day raha heen, jabkay nawasa-e-rasool khak o khon men galta tha aor nabi zadian pay perda bazaron men qayde banaye gayen ... afsos ho aisa mosof per..
Page 25, Last Para.
Mosof kehna chah raha hen kay, Imam Hussain jana chahta thay mager rishtadari ke khatir ruk gaye aor inteqam lia.Israr Ahmed sabit kerna chahta heen ka Karbala Haq wa batil ka dermeyan jang nahen hay balkay yeh to Hussain ka Inteqam hay, rishta dari ke khatir tha... aor mosof sabi ker raha hen ka Usman ziada mazlom thay na ka karbala walay .....Ajeeb baat daikhen ka mosof aik jagah Iqbal ka shair ko use ker raha hen aor aik jaga un ko gumrah sabit ker raha heen...
mosof Israr sahab .. aap he apni adaon pa zara gor karen ham ager arz karengay to shikayat hogi..
Page-22 Line 3,
Israr sb. kehta hen 'Ameer Yazeed' aor us kay favour men qaseday bhe likh raha heen, waah, ager yazeed itna he acha tha to men dua kerta hoon ka khuda es ko bhe yazeed ka sath mehshor karay.bus itna he kahonga ka,Allah (swt) hamare ankhon per pari howi pati utar day takay ham Jannat ka sardaron aor Islam ka mohsin ko jan saken...